Lines
"Message seen kyun nahi kiya?"
"Reply kyun nahi de rahe?"
"Late reply kyun kiya?"
"Call kyun nahi kiya?"
"Call receive kyun nahi kiya?"
"Itni der kahan the?"
"Bahut busy rehte ho,
mujhe time hi nahi dete!"
"Kabhi-kabhi lagta hai tum mujhse pyaar hi nahi karte..."
Aisi baatein wahi log kehte hain,
jo din bhar apne khaas insaan ka intezaar karte hain.
Lekin unka woh apna insaan kabhi samajh hi nahi paata ki itne saare logon ki bheed mein,
aakhir usi ke liye koi itna bechain kyun rehta hai.
Use shayad kabhi pata hi nahi chalta ki hazaaron logon ke beech,
kisi ek insaan ne use hi apni poori duniya bana rakha hai.!!
0 Comments
For Any Other Information Wisit my Website
https://www.statusdunia.in